Friday, April 22, 2011

Noor E Khuda

Song: Noor E Khuda
Artist: Adnan Sami, Shankar Mahadevan, Shreya Ghoshal
Album: My Name is Khan

Ajnabe mod hai, khauf har orr hai
Har nazar pe dhua cha gaya
Pal bhar mein jaane kya kho gaya
Aasman zard hai
Aahein bhi sard hai
Tan se saya juda ho gaya
Pal bhar mein jaane kya kho gaya
Saase ruk si gayi, jism chil sa gaya
Tootey khwabon ke manzar pe tera jahaan chal diya

Noor e khuda, noor e khuda
Tu kahan chupa hai hume ye bataa
Noor e khuda, noor e khuda
Yun na humse nazarein phira
Noor e khuda

Nazarein karam, pharmahi de
Deen o dharam, ko jagaa hi de
Jalti huyi tanhaiyan, roothi huyi parchahiyan
Kaisi uri ye hawa, chhaya ye kaisa samaa
Rooh jum si gayi, waqt tham sa gaya
Tootey khwabon ke manzar pe tera jahaan chal diya

Ujlisi lamho ko aas teri
Zakhmi dilo kyun hai pyaas teri
Har dhadkan ko talaash teri
Tera milta nahin hai pataa
Khali aankhein khud se sawaal karein
Thamne ki cheek behaal kare
Behta lahu fariaad karein
Tera mitta chala hai nishaan
Rooh jum si gayi, waqt tham sa gaya
Tootey khwabon ke manzar pe tera jahaan chal diya

Noor e khuda, noor e khuda
Kya ye sach hai ke tu hai humse khafa
Noor e khuda …

Yoon Shabnami

Song: Yoon Shabnami
Artist: Parthiv Gohil
Album: Saawariya

Yoon shabnami pehle nahin thi chandni
Chand woh bharma gaya
Tujko dekha to sharma gaya
Woh churane laga hai nazar

Dekho chand aaya, chand nazar aaya
Aaya aaya aaya, dekho chand nazar aaya
Chand aaya sharmaya
Tu bhi aaja saawariya!

Dheere dheere aake hawa gungunaake
Har khabar de tumhari
Kaisa yeh nasha hai nazar mein ghula hai
Har ghari hai khumari
Nashe mein kadam kabhi udhar kabhi idhar
Gumsum nazar, jaye kidhar
Kho gaye tujme hum is kadar

Thursday, April 21, 2011

O rey piya

Song: O rey piya
Artist: Rahat Fateh Ali Khan
Album: Aaja Nachle

O rey piya haye, o rey piya
Udne laga kyun, mann bawla re
Aaya kahan se yeh hosla re
O rey piya haye, o rey piya

Tanabana tanabana bunti hawan haye, bunti hawa
Boondein bhi to aaye nahi baaz yahan
Sazish mein shamil sara jahan hain
Har zarre zarre ki yeh iltiza hain
O rey piya haye, o rey piya

Nazrein bole duniya bole dil ki zaban haaye, dil ki zaban
Ishq mange ishq chahe koi toofan
Chalna ahiste, ishq naya hai
Pehla yeh vada humne kiya hai
O rey piya haye, o rey piya

Nange pairo pe angaro chalti rahi haye, chalti rahi
Lagta hai ke gairo mein palti rahi haye, le chal wahan jo
Mulk tera hain, jahil zamana, dushman mera hain
O rey piya haye, o rey piya